Sunday, October 2, 2011

Wo jo ham main tum main qarar tha tumhain yaad ho kay na yaad ho

Wo jo ham main tum main qarar tha tumhain yaad ho kay na yaad ho
Wahi yani wada nibah kay tumhain yaad ho kay na yaad ho

Wo naey gilay wo shikayatain wo mazay mazay ki hikayatain
Wo har ek bat pay ruthna tumhain yaad ho kay na yaad ho

Koi baat esi agar hoi jo tumharay ji ko buri lagi
To bayan say pehlay hi bolna tumhain yaad ho kay na yaad ho

Suno zikr hai kai saal ka, koi wada mujh say tha ap ka
Wo nibahanay ka to zikr kiya, tumhain yaad ho kay na yaad ho

Kabhi hum main tum main bhi chah thi, kabhi hum main tum main bhi rah thi
Kabhi hum bhi tum bhi thay aashna, tumhain yaad ho kay na yaad ho

hoi itefaq say gar baham, wo wafa jatanay ko dam-ba-dam
Gila-e-malamat-e-arqaba, tumhain yaad ho kay na yaad ho

Wo jo lutf mujh pay thay baishtar, wo karam kay hath mere hath par
Mujhay sab hain yaad zara zara, tumhen yaad ho kay na yaad ho

Kabhi baithay sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi say guftagu
Wo bayan shauq ka barmala tumhain yaad ho kay na yaad ho

Wo bigarna wasl ki raat ka, wo na manana kisi bat ka
Wo nahin nahin ki har sada, tumhain yaad ho kay na yaad ho

Jisay app gintay thay aashna jisay app kahtay thay bawafa
Main wohi hoon "Momin"-e-mubtala tumhain yaad ho kay na yaad ho

No comments:

Post a Comment