Sunday, October 2, 2011

Dayar-e-gair mein kaise tujhay sada detay Tu mil bhi jata to tujhay ganwa detay

Dayar-e-gair mein kaise tujhay sada detay
Tu mil bhi jata to tujhay ganwa detay

Tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
Dua wo karte k ham asman hila detay

Hamein ye zom raha ab kay wo pukarenge
Unhain ye zid thi kay har bar ham sada detay

Wo tera gham tha k taseer meray lehjay ki
Kay jis ko hal sunatay usay rula detay

Tumhain bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
Jo ikhtiyar bhi hota to kiya bhula detay

Tumhari yaad nay koi jawab hi na diya
Meray khayal kay ansu rahay sada detay

Samton ko main ta-umr kosta Syed
Wo kuch na kahtay magar honth to hila detay

No comments:

Post a Comment