Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts

Sunday, October 2, 2011

Ye meri ana ki shikast hai na dawa karo na dua karo

Ye meri ana ki shikast hai na dawa karo na dua karo
Karo to bas ye karam karo mujhay meray hal pay chore do
Wo jo eek turkash e waqt hai abhi us main teer bohot say hain
Koi teer tum ko na aa lagay meray dard e dil pay na youn hanso
Na main koh kan hoon,na kais hoon , mujhay apni jaan aziz hai
Mujhay tark e ishq kabool hai agar tumhain yakeen e wafa na ho
Jo tumharay dil main shakook hain to ye eahd namay fazool hain
Jo meray khatoot hain phar do ye tumharay khat hain samait lo
Jo kisi ko koi satay ga to gila bhi honton pay aay ga
Ye to ik asool ki baat hai jo khafa hai mujh say koi to ho
Mujhay ab sadaon say kaam hai mujhay khal o khad ki khabar nahi
To phir is fraib say faida ye nakab ab to utar do
Mujhay apnay fukar pay naaz hai mujhay is karam ki talab nahi
Main gada nahi hoon fakeer hoon ye karam gadaon main bant do
Ye faqt tumharay sawal ka mera mukhtasir sa jawad hai
Ye gila nahi hai khaloos hai meri guftagu ka asar na lo
Ye adhoray chand ki chandani bhi adhori raat main kam nahi
Kahin ye bhi sath na chore day abhi roshani hai chalay chalo

Qariya e jaan main koi phool khilanay aay

Qariya e jaan main koi phool khilanay aay
Wo meray dil pay naya zakhm laganay aay

Meray viraan dareechon main bhi khushbo jagey
Wo meray ghar kay dar o baam sajanay aay

Us say ik bar to roothon main usi ki manid
Or meri tarah wo mujh ko mnanay aay

Isi koochay main kai us kay shanasa bhi to hain
Wo kisi or say milnay kay bahanay aay

Ab na poochon gi main khoay howay khawabon ka pata
Wo agar aay to kuch bhi na batanay aay

Zabt ki shehar pnahon ki meray maalik khair
Gham ka seelab agar mujh ko bahanay aay

Ek baar fir jeene ki koi tamanna hi mujhe na rahi

Ek baar fir jeene ki koi tamanna hi mujhe na rahi
Jaise zindagi mein aab koi bhi khushi na rahi

Jee raha hoon aaj ek zinda laash baan kar main 
Aankho ko meri aaj aasuon ki koi kami na rahi

Khamosh saanso main basera tha unki khushiyo ka
Ghum ke toofan main khushiyo ki aab jagah na rahi

Badal jaate hai rishte pal do pal main doston yaha
Jiske saath ki zarurat thi uuse hi meri zarurat na rahi 

Kehte the mujhe ki har pal hoon saath tumhare
Ek baar bhi uunko mere jazbaton ki parwaah na rahi

Thaak chuka hoon main rishton main piiste hue aaj
Yeh laash hai meri doston jisme aab jaan hi na rahi

Saray jaha ki khushian us ka naseeb kar day

Saray jaha ki khushian us ka naseeb kar day
Hansta rahay sada wo usay khush naseeb kar day
Kabhi dil us ka na totay kabhi choat wo na khaey
Us ko wafa kay ya rab itna kareeb kar day
Us kay labon pay ya rab humesha muskurahatain hoon
Kismat main us ki hansna meray habeeb kar day
Chal kar jaha bhi jay phoolon kay rastay hoon
Manzil ki har khushi us kay kareeb kar day
Dil mera ab tak kaha mutmain howa hai
Us kay dukhaon ko ya rab mera naseeb kar day

Kaheen ik masoom nazuk si ladki Bohat khobsoort mager sanwali si

Kaheen ik masoom nazuk si ladki
Bohat khobsoort mager sanwali si
Mujhay apnay khwabon ki banhoon main paa ker
Kabhi neend main muskurati tu ho gi
Usi neend main karwaten badel ker
Serhanay se takiyay girati tu ho gi
Wohi khawab din ki khamoshi main aa ker
Usay man he man main lubhatay tu hongay
Kaii saaz seenay ki khamoshion main
Meri yaad se jhun jhanatay tu hongay
Woh besakhta dheemay dheemay suron main
Meri dhun main kuch gun gunati tu ho gi
mujhay khat likhnay wo bathi tu hogi
Mager ungliyan kapkapati tu hon gi
Qalam haath se *** jata tu ho ga
mager qalam phir say uthati tu ho gi
Mera naam apni kitabon per likh ker
Woh Danton main ungli dabati tu ho gi
Zuban se kabhi uff nikkalti tu ho gi
Badan dheemay dheemay sulagta tu ho ga
Kahiin k kahiin pauoon pertay tu hongay
Zameen pe dupata larakta tu ho ga
Kabhi subah ko shaam kehti tu ho gi
Kabhi raat ko din banati tu ho gi
Kahheen ik masoom nazuk si ladki
Bohat khoobsorat mager sanwali si

JAb tera hukam mila tarak e mohabbat kar di

JAb tera hukam mila tarak e mohabbat kar di
Dil magar is pay wo dharka kay qiyamat kar di

Tujh say kis tarah main izhar e tmana karta 
Lafz sujha to mani nay baghawat kar di

Main to samjha thay kay loat atay hain jany walay
Tu nay to ja kay judai meri kismat kar di

Mujh ko dushman kay iradon pay bhi piyar ata hai
Teri ulfat nay mohabbat meri adat kar di

Pooch baitha hoon main tujh say teray koochay ka pata 
Teray haalaat nay kesi teri sorat kar di

Kiya tera jisam teray husan ki hidat main jala
Rakh kis nay teri sonay ki si rangat kar di

Wo jo ham main tum main qarar tha tumhain yaad ho kay na yaad ho

Wo jo ham main tum main qarar tha tumhain yaad ho kay na yaad ho
Wahi yani wada nibah kay tumhain yaad ho kay na yaad ho

Wo naey gilay wo shikayatain wo mazay mazay ki hikayatain
Wo har ek bat pay ruthna tumhain yaad ho kay na yaad ho

Koi baat esi agar hoi jo tumharay ji ko buri lagi
To bayan say pehlay hi bolna tumhain yaad ho kay na yaad ho

Suno zikr hai kai saal ka, koi wada mujh say tha ap ka
Wo nibahanay ka to zikr kiya, tumhain yaad ho kay na yaad ho

Kabhi hum main tum main bhi chah thi, kabhi hum main tum main bhi rah thi
Kabhi hum bhi tum bhi thay aashna, tumhain yaad ho kay na yaad ho

hoi itefaq say gar baham, wo wafa jatanay ko dam-ba-dam
Gila-e-malamat-e-arqaba, tumhain yaad ho kay na yaad ho

Wo jo lutf mujh pay thay baishtar, wo karam kay hath mere hath par
Mujhay sab hain yaad zara zara, tumhen yaad ho kay na yaad ho

Kabhi baithay sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi say guftagu
Wo bayan shauq ka barmala tumhain yaad ho kay na yaad ho

Wo bigarna wasl ki raat ka, wo na manana kisi bat ka
Wo nahin nahin ki har sada, tumhain yaad ho kay na yaad ho

Jisay app gintay thay aashna jisay app kahtay thay bawafa
Main wohi hoon "Momin"-e-mubtala tumhain yaad ho kay na yaad ho

Garmi-e-hasrat-e-nakam say jal jatay hain

Garmi-e-hasrat-e-nakam say jal jatay hain
Hum chiraghon ki tarah sham say jal jatay hain

Bach nikalatay hain agar atish-e-sayyad say hum
Shola-e-atish-e-gulfam say jal jatay hain

Khudnumai to nahin shewa-e-arbab-e-wafa
Jin ko jalna ho wo aram say jal jatay hain

Shama jis aag main jalti hai numaish kay liye
Hum usi aag main gumnam say jal jatay hain

Jab bhi ata hai mera naam teray naam kay sath
Janay kiyun log meray naam say jal jatay hain

Rabta baham pe hamain kiya na kahenge dushman
Ashna jab teray paigham say jal jatay hain

shaame dhal to jaati hai teri yaado k sahaare


shaame dhal to jaati hai teri yaado k sahaare
guzra kal tha peeche aaj humare saamne
hum kabhi to kharay thay
jaane kis kinaray
khafa huay tum zindigaani se hum haaray

is mukhtasir kahani ka wo pal ajab tha
waqt ne jis taraf chora wo manzar ajab tha
bheegi baarish main kharay tha
kaali raat ke thay nazaare
khamoshi k mahaul main tanhai ka silsila ajab tha

ye husn tera ye ishq mera rangeen to hai badnaam sahi

ye husn tera ye ishq mera
rangeen to hai badnaam sahi

mujh par to kayee ilzaam lage
tujh par bhi koi ilzaam sahi

is raat ki nikhari rangat ko
kuchh aur nikhar jaane de zara

nazaron ko bahak jaane de zara
zulfon ko bikhar jaane de zara

kuchh der ki hi taskeen sahi
kuchh der kaa hi aaraam sahi

jazbaat ki kaliyaaN chunana hai
aur pyaar ka tohfa dena hai

logoN ki nigaahein kuchh bhi kahein
logoN se hamein kyaa lena hai

ye Khaas ta’alluq aapas ka
duniyaa ki nazar mein aam sahi

rusavaaii ke Dar se ghabara kar
ham tark-e-vafaa kab karate hain

jis dil ko basaa lein pahaluu mein
us dil ko judaa kab karate hain

jo hashr hua hai laakhon ka
apana bhi vahi anjaam sahi

ye husn tera ye ishq mera
rangeen to hai badnaam sahi

mujh par to kaee ilzaam lage
tujh par bhi koi ilzaam sahi

Dayar-e-gair mein kaise tujhay sada detay Tu mil bhi jata to tujhay ganwa detay

Dayar-e-gair mein kaise tujhay sada detay
Tu mil bhi jata to tujhay ganwa detay

Tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
Dua wo karte k ham asman hila detay

Hamein ye zom raha ab kay wo pukarenge
Unhain ye zid thi kay har bar ham sada detay

Wo tera gham tha k taseer meray lehjay ki
Kay jis ko hal sunatay usay rula detay

Tumhain bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
Jo ikhtiyar bhi hota to kiya bhula detay

Tumhari yaad nay koi jawab hi na diya
Meray khayal kay ansu rahay sada detay

Samton ko main ta-umr kosta Syed
Wo kuch na kahtay magar honth to hila detay

Tere sabhi gamo Ko samet kar main tujhe itna pyaar dun,

Tere sabhi gamo Ko samet kar main tujhe itna pyaar dun, 
Teri udasi ko hata ke tujh par sha, ka rang nikhar dun 

Teri ankho main chupi khamoshi mere dil par asar kar gayi 
Tere wajood ko mehkade Jo Tere labo ko wo bahar dun 

Teri ek muskurahat ka badal kuch ho nahi sakta magar 
Jo mile Tujhay khushii agar mai apni jaan bhi waar dun 

Agaya hai jo hijar ka dour tere mere darmIyan 
jo mile mujhay fursatai yai waqt ka kharz utar dun 

Tere dil ki ronaqai murjha gae hai jo is tarah 
laga kai apnay seenay se tere dharkano ko karar dun 

tanhayeo kai tofano se bikhar gae hai sabhi 
jo kahay to tere Aaa tere har zulf ko sunwardun 

Mere nigah bhi hai tere ek nazar ki muntazar 
jo karai agar edhar nazar tujhay duayen beshumar Dun

Saturday, September 10, 2011

Labo pay harf na koi sawal rakhta tha

Labo pay harf na koi sawal rakhta tha
Kabhi wo zabt main itna kamal rakhta tha

Khabar kiya thi kay mujhay hi bhol jay ga
Ik ik cheez meri jo sanbhal rakhta tha

Bichartay waqt bzahir to kuch na bola
Magar nigah main so so sawal rakhta tha

Wo muskura kay kitni dair chup raha
Hansi ki oat main koi mlal rakhta tha

Apnay ehsas kay sab rang utr janay do

Apnay ehsas kay sab rang utr janay do
Meri umeed meray khab bikhar janay do

Apnay angan main chiragho ko jlao na abhi
Meray angan main siha raat utr janay do

Bari mushkil say mila hai meray ghar ka pata
Rasto ab na uljho mujhay ghar janay do

Jin kay anay ka bohot shore phaila tha har soo
Unhi lamho ko chup chap guzar janay do

Meri barbadi ka ilzaam na aay tum par 
Meri halat ko kuch or bigar janay do

Gaey dino kaa suraagh lay kar kidhar say aya kidhar giya wo

Gaey dino kaa suraagh lay kar kidhar say aya kidhar giya wo 
Ajeeb manuus ajanabi tha mujhay to hairan kar giya wo 

Khushi ki rut ho kay gham ka mausum nazar usay Dhundhati hai har dam 
Wo buu e gul tha kay naghma e jaan meray to dil main utar giya wo 

Wo maikaday ko jaganay wala wo raat ki nind uraanay wala 
Na janay kiya us kay jii main aai kay shaam hotay hi ghar giya wo 

Kuch ab sambhalanay lagi hai jaan bhi badal chalaa rang aasmaan bhi 
Jo raat bhaarii thi tal gai hai jo din kara tha guzar giya wo 

Shikasta paa raah main khra hoon gaey dino ko bulaa rahaa hoon 
Jo qaafilaa mera ham safar thaa misl e gard e safar giya wo 

Bas ek manzil hai bul e havas ki hazaar rastay hain ehal e dil kay 
Ye hi to hai farq mujh main us main guzar giya main thehar giya wo 

Wo jis kay shanay pay haath rakh kar safar kiya tu nay manzilon ka 
Teri gali say na jaanay kiyoun aaj sar jhukaay guzar giya wo 

Wo hijar ki raat ka sitaara wo ham nafas ham sukhan hamaraa 
Sadaa rahay naam us ka piyara sunaa hai kal raat mar giya wo 

Bas ek moti si chhab dikha kar bas ek meethi si dhun sunaa kar 
Sitaraa e shaam ban kay aya barang e khayaal e sahar giya wo 

Na ab vo yaadon ka charhataa dariyaa na fursaton ki udaas barkhaa 
Youn hi zaraa si kasak hai dil main jo zakhm geharaa thaa bhar giya wo 

Wo raat kaa bey navaa musaafir wo teraa shaayar wo teraa 'Nasir'
Teri gali tak to ham nay daikhaa phir na janay kidhar giya wo

Aankhon kaa rang, baat kaa lehjaa badal giya

 Aankhon kaa rang, baat kaa lehjaa badal giya
Wo shakhs ek shaam main kitnaa badal giya !

Kuch din to mera aks rahaa aaiine pe naqsh
Phir yun huwa ke Khud meraa chehraa badal giya

Jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
To kiya huwa jo hamse zamaanaa badal giya

Qadmon talay jo rait bichii thi wo chal parii
Us nay churaayaa haath to sehraa badal giya

Koi bhii cheez apni jagah par nahi rahii
jatay hi ek shakhs kay, kiya kiya badal giya !

Ek sar-khushii ki mauj ne kaisa kiya kamaal
Wo be-niyaaz, saaray ka saaraa badal giya

Uth kar chalaa giya koi vaqfay ke darmiyaan
Parda utha to saaraa tamaashaa badal giya

Hairat se saray lafz use daikhtay rahay
Baaton main apni baat ko kaisa badal giya

Kehnay ko ek sehan main divaar hi bani
Ghar ki fizaa, makaan ka naqsha badal giya

Shaid Wafa ke khail say ukta giya tha Wo
Manzil kay paas aa kay jo rasta badal giya


Aankhon main jitnay ashq thay jugnuu say ban gaey
Wo muskuraaya aur meri duniyaa badal giya

Apnii gali main apna hi ghar dhundhtay hain log
“Amjad” ye kaun shehar ka naqsha badal giya

Mujh say milnay kay wo karata tha bahaanay kitnay

Mujh say milnay kay wo karata tha bahaanay kitnay
Ab guzaray ga wo meray saath zamanay kitnay

Main gira tha to bahot log rukay thay lekin
Sochata hoon mujhay aye thay uthanay kitnay

Jis tarah main nay tujhay apana bana rakha hai
Sochatay hoon gaey yehi baat na janay kitnay

Tum nayaa zakhm lagaao tumhain is say kiya hai
Bharnay walay hain abhi zakhm puranay kitnay

Aaghaaz to hotaa hai anjaam nahi hotaa

Aaghaaz to hotaa hai anjaam nahi hotaa
Jab merii kahaanii main vo naam nahi hotaa

Jab zulf ki kaalikh main ghul jaaye koi raahii
Bad-naam sahii lekin gum-naam nahi hotaa

Hans hans ke javaan dil ke ham kiyoun na chune tukray
Har shakhs ki qismat main inaam nahi hotaa

Behtay huway aansuu nay aankhon se kahaa tham kar
Jo mae se pighal jaaye vo jaam nahi hotaa

Din Duube hai yaa Duubii baaraat liye kashtii
Saahil pe magar koi kohraam nahi hotaa

Kathan hai zindagi kitni

Kathan hai zindagi kitni
Safar dushwar kitna hai
Kabhi paoon nahi chaletay
Kabhi rasta nahi milta
Hamara sath dey paey
Koi aisa nahi milta
Faqat aise guzaroon to
Yeh roz o shab nahi kut'te
Yeh kut'te the kabhi pehle
Mager haan ab nahi kut'ti
Mughe phir bhi mere malik!
Koi shikwa nahi tujh sey
Mein jaan per khail sakta hoon
Mein her dukh jhail sakta hoon
Ager tu ajj hi kar dey
Mohabbat humsafar meri.........

Honto pay mohabbat kay fasanay nahi aatay

Honto pay mohabbat kay fasanay nahi aatay
Sahil pay samundar kay khizanay nahi aatay
Palkain bhi chamak uthti hain sonay main humari
Ankho ko abhi khawab chupanay nahi aatay
Dil ujari hoi eek sraay ki tarha hai
Ab log yaha raat jaganay nahi aatay
Yaro naey mosam nay ye ihsan kiya hai
Ab yaad mujhay dard puranay nahi aatay
Urnay do parindo ko abhi shokh hawa main
Phir loat kay pachpan kay zamanay nahi aatay
Is shehar kay badal teri zulfon ki tarha hain
Ye aag lagatay hain bujhanay nahi aatay
Ehbab bhi ghairo ki ada seekh gaey hain
Aatay hain magar dil ko dukhanay nahi aatay