Saturday, September 10, 2011

Honto pay mohabbat kay fasanay nahi aatay

Honto pay mohabbat kay fasanay nahi aatay
Sahil pay samundar kay khizanay nahi aatay
Palkain bhi chamak uthti hain sonay main humari
Ankho ko abhi khawab chupanay nahi aatay
Dil ujari hoi eek sraay ki tarha hai
Ab log yaha raat jaganay nahi aatay
Yaro naey mosam nay ye ihsan kiya hai
Ab yaad mujhay dard puranay nahi aatay
Urnay do parindo ko abhi shokh hawa main
Phir loat kay pachpan kay zamanay nahi aatay
Is shehar kay badal teri zulfon ki tarha hain
Ye aag lagatay hain bujhanay nahi aatay
Ehbab bhi ghairo ki ada seekh gaey hain
Aatay hain magar dil ko dukhanay nahi aatay

No comments:

Post a Comment