Gaey dino kaa suraagh lay kar kidhar say aya kidhar giya wo
Ajeeb manuus ajanabi tha mujhay to hairan kar giya wo
Khushi ki rut ho kay gham ka mausum nazar usay Dhundhati hai har dam
Wo buu e gul tha kay naghma e jaan meray to dil main utar giya wo
Wo maikaday ko jaganay wala wo raat ki nind uraanay wala
Na janay kiya us kay jii main aai kay shaam hotay hi ghar giya wo
Kuch ab sambhalanay lagi hai jaan bhi badal chalaa rang aasmaan bhi
Jo raat bhaarii thi tal gai hai jo din kara tha guzar giya wo
Shikasta paa raah main khra hoon gaey dino ko bulaa rahaa hoon
Jo qaafilaa mera ham safar thaa misl e gard e safar giya wo
Bas ek manzil hai bul e havas ki hazaar rastay hain ehal e dil kay
Ye hi to hai farq mujh main us main guzar giya main thehar giya wo
Wo jis kay shanay pay haath rakh kar safar kiya tu nay manzilon ka
Teri gali say na jaanay kiyoun aaj sar jhukaay guzar giya wo
Wo hijar ki raat ka sitaara wo ham nafas ham sukhan hamaraa
Sadaa rahay naam us ka piyara sunaa hai kal raat mar giya wo
Bas ek moti si chhab dikha kar bas ek meethi si dhun sunaa kar
Sitaraa e shaam ban kay aya barang e khayaal e sahar giya wo
Na ab vo yaadon ka charhataa dariyaa na fursaton ki udaas barkhaa
Youn hi zaraa si kasak hai dil main jo zakhm geharaa thaa bhar giya wo
Wo raat kaa bey navaa musaafir wo teraa shaayar wo teraa 'Nasir'
Teri gali tak to ham nay daikhaa phir na janay kidhar giya wo

No comments:
Post a Comment