Saturday, September 10, 2011

Aankhon kaa rang, baat kaa lehjaa badal giya

 Aankhon kaa rang, baat kaa lehjaa badal giya
Wo shakhs ek shaam main kitnaa badal giya !

Kuch din to mera aks rahaa aaiine pe naqsh
Phir yun huwa ke Khud meraa chehraa badal giya

Jab apnay apnay haal pay ham tum na reh sakay
To kiya huwa jo hamse zamaanaa badal giya

Qadmon talay jo rait bichii thi wo chal parii
Us nay churaayaa haath to sehraa badal giya

Koi bhii cheez apni jagah par nahi rahii
jatay hi ek shakhs kay, kiya kiya badal giya !

Ek sar-khushii ki mauj ne kaisa kiya kamaal
Wo be-niyaaz, saaray ka saaraa badal giya

Uth kar chalaa giya koi vaqfay ke darmiyaan
Parda utha to saaraa tamaashaa badal giya

Hairat se saray lafz use daikhtay rahay
Baaton main apni baat ko kaisa badal giya

Kehnay ko ek sehan main divaar hi bani
Ghar ki fizaa, makaan ka naqsha badal giya

Shaid Wafa ke khail say ukta giya tha Wo
Manzil kay paas aa kay jo rasta badal giya


Aankhon main jitnay ashq thay jugnuu say ban gaey
Wo muskuraaya aur meri duniyaa badal giya

Apnii gali main apna hi ghar dhundhtay hain log
“Amjad” ye kaun shehar ka naqsha badal giya

No comments:

Post a Comment