Sunday, October 2, 2011

Garmi-e-hasrat-e-nakam say jal jatay hain

Garmi-e-hasrat-e-nakam say jal jatay hain
Hum chiraghon ki tarah sham say jal jatay hain

Bach nikalatay hain agar atish-e-sayyad say hum
Shola-e-atish-e-gulfam say jal jatay hain

Khudnumai to nahin shewa-e-arbab-e-wafa
Jin ko jalna ho wo aram say jal jatay hain

Shama jis aag main jalti hai numaish kay liye
Hum usi aag main gumnam say jal jatay hain

Jab bhi ata hai mera naam teray naam kay sath
Janay kiyun log meray naam say jal jatay hain

Rabta baham pe hamain kiya na kahenge dushman
Ashna jab teray paigham say jal jatay hain

No comments:

Post a Comment