Saturday, September 10, 2011

Ye pichlay ishq ki batain hain

Ye pichlay ishq ki batain hain
Jab dil main daagh damktay thay
Jab palkain shehar kay rastoo main
Ashkoo ka noor lutati thin
Jab sansain uljhay chehroo ki
Tan man main phool sajati thin
Jab chand ki rim jhim kirnoo say
Sochoo main bhanwar par jatay thay
Jab ek talatum rehta tha 
Apnay bay ant khealoo main
Har ehad nibhanay ki kasmain
Khat khoon say likhnay ki rasmain
Jab aam thin hum dil waloo main
Ab apnay phekay honto par
Kuch jaltay bujhtay lafzoo kay
Wajood pighaltay rehtay hain
Ab apni gum sum ankhoo main
Kuch dhool hai bikhri yadoo ki
Kuch gard aalood say mosam hain
Ab dhoop ubaltay kochoo main
Kitni sakoon ki chandi hai
Kitni shamoo ka sona hai
Is ko khakster hona hay
Kitni roshan si ratain hain
Us umr ki sab soghatain hain
Us umr kay khawab kheal howay
Wo pichli umr thi beet gai
Wo umr bitay saal howay
Ab apni deed kay rasto main
Kuch rang hain guzray lamhoo ka
Kuch ashkoo ki baratain hain
Kuch bholay basray chehray hain 
Kuch yadoo ki barsatain hain
Ye pichlay ishq ki batain hain
Ye pichlay ishq ki batain hain

No comments:

Post a Comment