Saturday, September 10, 2011

Insha ji uthoo ab kooch karo is shehar main jee ka lagana kia

Insha ji uthoo ab kooch karo is shehar main jee ka lagana kia
Wehshi ko sakoon say kia matlab jogi ka nagar main thikana kia
Shab beti chand bhi doob giya zanjeer pari darwazay par
Kyun dair gae ghar aay ho sajni say karo gae bahana kia
Is dil kay darida daman main dekho to sahi socho to sahi
Jis jholi main so chaid howay us jholi ka phelana kia
Jab shehar kay log na rasta dain to ban main ja bisram karain
Diwanoo ki si na bat karay to aur karay diwana kia

No comments:

Post a Comment