Saturday, September 10, 2011

Jab ankhain bujh kar rakh hoi JAb dil ka jawala sard para

Jab ankhain bujh kar rakh hoi
JAb dil ka jawala sard para
Jab shamoo o sehar kay sehra main 
khawaboo kay sitaray rait howay
JAb umer e rawa kay medan main
Sab zinda jazbay khait howay
Us waqt mujhay mehsoos howa
Jab ishq main sari umer kati shaid wo nazar ka dhokha tha
Kirnoo say kisi kay lehjay main tanveer thi meri apni hi
Shab e tab e badan kay jadoo main khud meray lahoo ka nasha tha
Kal ratt magar jab khirki main
Mehtab nay aa kar dastak di
Khushboo ki tarha lehranay lagi
Har tarf koi sargoshi si
Jab ankhain bujhnay lagti hain jab dil ka jawala sard paray
Us waqt kisi ko kia maloom kon apna kon paraya tha
Lehjay main nasha tha kis kay sabab or kis nay kisay mehkaya tha

No comments:

Post a Comment