Saturday, September 10, 2011

Hum khawabon kay baypari thay Par us main hua nuksan bara


Hum khawabon kay baypari thay 
Par us main hua nuksan bara 
Kuch bakht main dhairon kalak thi 
Kuch ab kay ghazab ka kal para 
Hum rakh liay hain jholi main 
Aur sar par saho kar khara 

Yahan boond nahin hain devay main 
Wo baj biaj ki bat karay
Hum bhanj zameen ko taktay hain
Wo dhaur anaj ki bat karay
Hum kuch din ki mohlat mangain
Wo aj hi aj ki bat karay

Jab dharti sehra sehra thi 
Hum dariya dariya roay thay
Jub hath ki rekhaein chup thin
Aur sur sangeet main soey thay
Tab hum nay jeevan khati main
Kuch khawab anokhay boay thay

Kuch khawab sajal muskano kay
Kuch bol kabat devano kay
Kuch lafz jinhay mani na milay
Kuch geet shikasta janon kay 
Kuch neer wafa ki shamon kay 
Kuch par pagal parwanon kay

Phir apni ghayal ankhon say 
Khush hokay lahu chirkaya tha
Mati main mas ki khad bhari
Aur nas nas ko zakhmaya tha
Aur bhul gaey pichli rut main
Kia khoya tha kia paya tha

Har bar gangan nay weham dia
Ab kay barkha jab aeygi
Har beej say konpal phutay gi
Aur har konpal phal laey gi
Sar par saya chatri hogi
Aur dhup ghata ban jaey gi

Jab fasal kati to kia daikha
Kuch dard kay tutay gajray thay
Kuch zakhmi khawab thay kanton par
Kuch khastar say kajray thay
Aur dur ufak kay sagar main 
Kuch dholtay dubtay bajray thay

Ab paon kharaon dhul bhari 
Aur jism pay jog a chola hai
Sab sangi sathi bhaid bharay
Koi masha hai koi tola hai
Is tak main yeh us ghat main wo
Har taraf thagon ka tola hai

Ab ghat na ghar dehliz na dar
Ab pas raha hai kia baba 
Bas tan ki gathri baqi hai
Ja yeh bhi lay ja tu baba
Hum basti choray jatay hain
Tu apna karz chuka baba

No comments:

Post a Comment