Saturday, September 10, 2011

Hazaro pall tumharay bin Na pocho kesay kat tay hain

Hazaro pall tumharay bin 
Na pocho kesay kat tay hain
Kabhi yadain rulati hain
Kabhi mosam rulatay hain
Usay keh do hum aatay hain
Humain mayous na karna
Humain wapis na lotana
Humain dil main basa lena
Humain apna bana lena
Bohot tarpay howay dil say
Youn rotha nahi kartay
Mohabbat to ebadat hai
Isay ruswa nahi kartay
Zamanay say chupatay hain
Kabhi charcha nahi kartay
Sanam esa nahi kartay
Sanam esa nahi kartay

No comments:

Post a Comment