Saturday, September 10, 2011

Dehar ko dehar ka afsana bana rakha hai

Dehar ko dehar ka afsana bana rakha hai
Aashna hain teray kadmo say wo rahain jin par
Us ki madhosh jawani nay inayat ki hai
Karwan guzray nahi jin say usi ranai kay
Jis ki in aankho nay be sood ebadat ki hai
Tujh say kheali hain wo mehboob hawain jin main
Us kay malboos ki afsurda mehak baki hai
Tujh pay bhi barsa hai usi baam say mehtab ka noor
Jis main beeti hoi raton ki kasak baki hai
Tu nay deakhi hai wo peashani , wo rukhsar , wo hont
Zindagi jin kay tasawar main luta di hum nay
Tujh pay bhi uthi hain wo khoai hoi sahir aankain
Tujh ko maloom hai kiyou umr ganwa di hum nay

No comments:

Post a Comment