Saturday, September 10, 2011

Ek humsafar chahiye...

Na woh farishta ho, na farishte jaisa ho...
Mujhe talash hai us ki jo mere jaisa ho...

Mere khulus ko pehchanta ho bas kafi hai...
Woh koi bhi ho, kahin bhi ho, kaisa bhi ho...

Jo khwab dene ke qadir ho meri ankhon ko...
Meri mohabbat ko pehchan sake woh aisa ho...

Meri khatir merne ka hosla bhi rakhta ho...
Agar kabhi rooth jau main usse to muskura kar manaye woh aisa ho...

Jo baat kare to woh nibha bhi sake...
Iraadon mein woh apni chahto jaisa ho...

Dukho mein hasne ka hunar janta ho...
Ek humsafar jo samandar ki tarah gehra ho...

Us ke pyar ki thandak ho mere liye...
Aisi ki woh to bilkul asmaan ke chand ke jaisa ho...

Woh sirf mera ho jo nigaahon mein haya rakhta ho...
Umr bhai sath chale woh aisa ho...

Mere kahe bagair jo samjhe har ek baat ko...
Na jo sirf woh sune main kahu...

Main ye nahin kehti ki woh puri kare meri har ek hasrat...
Par woh aisa ho jo samjhe mujhe har ek pal...

Chahe kuch aur wo samjhe na samjhe...
Jo meri bepanah mohabbat ko pehchane...

Na woh farishta ho, na farishte jaisa ho...
Mujhe talash hai us ki jo mere jaisa ho...

No comments:

Post a Comment