Saturday, September 10, 2011

Dil ki dhadhkan hai,khyaalon mein mere rehta hai


Dil ki 
dhadhkan hai,khyaalon mein mere rehta hai

Kaun hai 
woh, jo swaalon mein mere rehta hai

Jis ka 
dekha na khwaab us se wafa karta hoon

Dil ke 
aaine mein main us se mila karta hoon

Main 
nahin jaanta yeh kis ki talab hai mujh ko

Kis ka 
armaan iraadon mein mere rehta hai

Khwaab 
hai woh mera, taabeer dilaaon kaise

Apni 
hasrat ko main, taqdeer banaaon kaise

Mujh ko 
milta hai sakoon, us ka tasavur kar ke

Woh 
ishara, jo isharon mein mere rehta hai

Kis ki 
tareef mein likhi yeh ghazal kya janu

Kis ko 
kehta hoon mohabbat ka kanwal kya janu

Main tau 
bas aik hi umeed mein rehta hoon sadaa

Us ko 
dekhoon jo nazron mein meri rehta hai.

No comments:

Post a Comment