Saturday, September 10, 2011

Dil me toofan tha

Dil me toofan tha 
Aur man becchain tha 
Unjaan ghatna se hum bekhabar the 
Aarzoo thi unse baat karne ki 
Kya hua yeh jaanne ki 

Chhar roz gujharte jaise cchar yug beetein 
Phir bhi humari aas nahin tutein 
Unke waadein hur baar yaad aaye 
Wah bewafa honge yeh dil nahin maane 
Zindagi unke bina jiye nahin jaaye 
Jhooth ka sahara ab liye nahin jaaye 
Ek hi raasta nazar ab aaye 
Eh maalik, teri duniya me ab dil nahin lage 

Humari zindagi nahin humare haath me 
Jo khuda cchahta hai wahi hota hai unt mke 
Maut ke mukh se wapas hum laute 
Usi zindagi me jo ab hai maut se bhi badtar 

Kucch raaz khul gaye jab rahe maut ke darwaaze 
Sacchai ko gale lagaya dil ko mazboot karke 
Hum sab kasoor hodhe apne hi sar pe 
Lekin unke daaman pe daag nahin lagaye 

Shatranj ka khel khela gaya humse 
Duniya ne jab kiya saamna unse 
Aakar kucch aur hi bataya gaya humse 
Aur unki bewafai phenki gayee mukh pe 

Hum bahoot kamzor the dil ke halat se 
Unki zubaan se sacch sunna cchahte the 
Unke inkaar se tadap ke rah gaye 
Ek baar phir jeewan se haar gaye 

Unke sab nishaan ccheen liye gaye 
Unki cchitthiyan le gayee jhor se 
Aapne dostton ke saamne be-izzat kiye gaye 
Pinjare me pancchi ki tarah 
Phadfadate hi rah gaye 

Humne haath jod aapna kasoor mana 
Aur us kasoor ki mangi sazaa 
"Aapne jeewan se phenk do humko 
Aur kardo humko pariwar me badnaam" 

Shayad humari sazaa yehi hai 
Jisko aapni aatma arpan ki 
Aapna humsafar aur humnawaz mana 
Wah bhi hume kasoor war kahta hai 

Humare jajhbaat ki koi bayan nahin 
Humare pyar ki koi jhubaan nahin 
Yeh dil hi sirf gawah hai 
Yeh pyar kitna pavitra hai napaak nahin 

Door hi se saath cchaha tha 
Unke pyar ki cchaon cchahi thi 
Gham ka pahad nahin cchaha tha 
Khushiyon ki bahar hi cchahi thi

No comments:

Post a Comment