Saturday, September 10, 2011

Dil ki batt labo par la kar ab tak hum dukh sehtay hain

Dil ki batt labo par la kar ab tak hum dukh sehtay hain
Hum nay suna tha is basti main dil walay bhi rehtay hain
Beet giya sawan ka mahina mosam nay nazrain badli
Lakin in piyasi ankho say ab tak aansoo behtay hain
Ek humain awara kehna koi bara ilzam nahi
Duniya walay dil waloo ko aur bohot kuch kehtay hain
Jin ki khatir shehar bhi chora jin kay liay badnam howay
Ajj wohi hum say beganay beganay say rehtay hain
Wo jo abhi is rah say chak e gireban guzra tha
Is awara dewanay ko jalib jalib kehtay hain

No comments:

Post a Comment