Un jheel si gehri ankhoo main ik sham kahi abad to ho!
Us jheel kinaray pal do pal
Ik khwab ka neela phool khilay
Wo phool baha dain lehroon main
Ik rooz kabhi shaam dhalay
Us phool kay behtay rangoo main
Jis waqat larzta chaand chalay
Us waqat kahain aankhoon main us guzray pal ki yaad to hoo
Un jheel si gehri ankhoo main ik sham kahi abad to ho!
Phir chahay umar samander ki
Her mooj peraishan hoo jai
Phir chahay aankh dareechay say
Her khwab graizan hoo jai
Phir chahay phool kay chahray ka
Her dard numayan hoo jai
Us jheel kinaray pal do pal wo roopnager aijad to ho
Din raat kay is ainay say wo aks kabhi azad to ho

No comments:
Post a Comment