Saturday, September 10, 2011

Suna hai log use ankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai log use ankh bhar ke dekhtay hain
So us ke sheher main kuch din thahr ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharab haloon se
So apnay aap ko barbad ker ke dekhtay hain

Suna hai dard ki gahak hain chushm-e nazuk us ki
So hum bhi us ki gali se guzer ker dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So hum bhi mojazay apnay huner ke dekhtay hain

Suna hai bolay to batoon se phool jharatay hain
Yeah baat hai to chalo baat ker ke dekhtay hain

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se uter ker dekhtay hain

Suna hai hasher hain us ki gazal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai din ko use titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh ker hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzer ke dekhtay hain

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh ankh bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke laboon se gulab jalte hain

No comments:

Post a Comment