Saturday, September 10, 2011

PHULON KA RUP NIKHARNAY MAIN KUCH DAIR TO AKHIR LAGTI HAI

PHULON KA RUP NIKHARNAY MAIN KUCH DAIR TO AKHIR LAGTI HAI
PATJHAR KA DAUR GUZARNAY MAIN KUCH DAIR TO AKHIR LAGTI HAI

KUCH ROZ HUMARI BASTI MAIN SILAB ABHI YEH THEHRAY GA
DARIYA KA JOSH UTARNAY MAIN KUCH DAIR TO AKHIR LAGT HAI

ASHRON KAY JAGHRAY HAIN JAG KAY PAL DO PAL KI BAT NAHIN 
SAMJHANAY AUR SAMAJHNAY MAIN KUCH DAIR TO AKHIR LAGTI HAI 

ZAHIR KI ULFAT HAI USKI MATLAB KI YARI HAI YARO 
DUSHMAN KO HUM SAY MUKARNAY MAIN KUCH DAIR TO AKHIR LAGTI HAI

ARMAN SISAKTAY HONT JISKAY UJRI HO PIYAR KI NAGRI BHI 
US DIL KO YAR SANWARNAY MAIN KUCH DAIR TO AKHIR LAGTI HAI 

IK *** SAY CHIKNA CHUR HUA IS DIL KA SHEESHA ARASH JI
HAR SHAE KO TOOT BIKHARNAY MAIN KUCH DAIR TO AKHIR LAGTI HAI 

No comments:

Post a Comment