Saturday, September 10, 2011

Mujhay dunia say piyar tha sab Bhul chuka hun Ik shakhs mera yar tha sab bhul chuka hun

Mujhay dunia say piyar tha sab Bhul chuka hun 
Ik shakhs mera yar tha sab bhul chuka hun 

Wo hijr ki raton kay sulaghtay huay lamhay 
Ankhon pay ik bar tha sab bhul chuka hun 

Haan meri khata thi tujhay tut kay chaha 
Haan main hi gunehgar tha sab bhul chuka hun

Yeh kisnay mujhay dhup ka it rup diya hai 
Main saya e dewar tha sab bhul chuka hun

Bhejwata tha tujhay kabhi churi kabhi kangan 
Main ktina khanak dar tha sab bhul chuka hun

Sach jan kay ab kuch yad nahin mujhay 
Tu kiska taraf dar tha sab bhul chuka hun

Bas itna yad hai mujhay ik wasl ki shab thi
Inkar tha ikrar tha sab bhul chuka hun 

Ik shakhs nay pagal sa bana rakha hai WASIK
Main kitna samajh dar tha sab bhul chuka hun

No comments:

Post a Comment