Saturday, September 10, 2011

Kuch mujh ko mera bharpoor sarapa la day

Kuch mujh ko mera bharpoor sarapa la day
Meray bazo,meri ankhain ,mera chehra la day
Esa dariya jo kisi aur sumandar main giray
Is say behtar hai kay mujh ko mera sehra la day
Kuch nahi chahiay tujh say ae meri umr e rawa
Mera bachpan meray jugnu meri guriya la day
Naya mosam meri benai ko tasleem nahi
Meri ankhoo ko wohi khawab purana la day
Jis ki ankhain mujhay andar say bhi parh sakti hoon
Koi chehra to meray shehar main esa la day
Kashti e jan to bahwanr main hai kai barso say
Ae khuda ab to dabo day ya kinara la day

No comments:

Post a Comment