Jo utar kay zena e shaam say teri chasm e khush main sama gaey
Wohi jaltay bujhtay chiragh say meray baam o dar ko saja gaey
Ye ajab khail hai piyar ka main nay aap dekha ye moajza
Wo jo lafz meray guman main thay wo teri zuban par aa gaey
Teri be rukhi kay diyar main main hawa kay sath hawa howa
Teray aainay ki talash main meray khawab chehra ganwa gaey
Wo ajab phool say lafz thay teray hont jin say mehak gaey
Meray dasht e dard main door tak koi baagh jesay laga gaey
Wo jo geet tum nay suna nahi meri umr bhar ka riaaz tha
Meray dard ki thi wo dastan jisay tum hansi main ura gaey
Meri umr say na simat sakay meray dil main itnay sawal thay
Teray pas jitnay jawab thay teri ik nigah main aa gaey

No comments:
Post a Comment