Saturday, September 10, 2011

Ek baar jeene ke liye

Ek baar jeene ke liye sau baar mare hain hum 

Ek muskurahat ke liye kitna siska yeh ghum 

Yeh jeewan jalta bhi nahin 

Kitna jalaya isne har dum 

Ek lamha jo chup gaya aasmaan tale 

Dhoondtey phir rahein hain bus umar bhar se hum 

Meri khamoshiyaan ban gayi mere gunah 

Har pal naya gunah karta raha yeh mann 

Umeed ki yeh lau kyon nahin bhujhti 

Tham gayi jab yeh saason ki sarghum 

Kis taraf jaa raha hoon,kyon jaa raha hoon 

Koi bata de mujhe kahan le jaayenge yeh kadam 

Apni majbooriyon se naraaz hai yeh dil 

Majbooriyon ke liye uthaye gaye zindagi tere sitam 

Aasoon main bheega yeh mann yeh aanchal 

Ik hansi ki chah main ab tak aankhein hain yeh num.

No comments:

Post a Comment