Saturday, September 10, 2011

Bohot farsoda lagty hain ab yar k qissy


"Bohot farsoda lagty hain ab yar k qissy"
Gul-o-gulzar ki batain lab-o-tukhsar k qissy

yahan sub k muqaddar main faqat Zakhm-e-judai hai
subhi jhooty fasany hain wisal-e-yar k qissy

bhala ishq-o-mohabbat sy kisi ka pait bharta hai????
"Suno tum ko sunata hun main karobar k qissy"
mery ehbab kehty hain yahi aik aib hai mujh main 
sar-e-deewar likhta hun pas-e-deewar k qissy
main aksar is lye ja kar logon sy nahi milta
wo he be-kar ki batain, wo he be-kar k qissy......

No comments:

Post a Comment